Thursday 16 May 2013

duriya....

ye tere aas Pass hone par b ye duriya kaisi
ye duriya h sayad vicharo ki
ye duriya h sayad mansikta ki
ye duriya h tere vahem ki

unmukta k aakash me udna chahta h ye man
tera bus isme ek sath chahta h ye man
par in duriyo ko Tu bdava kyu de rha h
kyu tathakathit khokhle vicharo se bhr nhi aa pa rha
sath chalne me itni hi preshani h
to kyu hi juth ka darpan dikha rha h tu


andhkaar me hi jee lo tm ab or Kya kahe hm
teri in bekar bato se aahat ho chuka h ye dil
door to tm pehle b the;par tab ye duriya aisi na thi
vo duriya kuch najdikiyo ka ehsaas dilati thi
par aj ki najdikiya jaise andar andar mujhe kaat rhi h

ab bus ye najdikiya mujhse bardast nhi hoti
mujhe vhi duriya chahiye vhi duriya..
jin duriyo me maine khul k apne app ko
is bhautikta se pare paya tha
is chajchlta se mukt paya tha
is jeevan k Saar ko samj paya tha....

No comments:

Post a Comment